sahn-e-maqtal mein har ek zakhm-e-tamanna rakh do aur qatil ka naya nam masiha rakh do ab to ruswai ki had mein hai meri tishna-labi ab to honthon pe dahakta hua shoala rakh do kitni tarik hai shab mere makan ki yaron in munderon pe koi chand sa chehra rakh do ab ki barish mein mera nam chamak jaega lakh tum ret ki tah mein mera katba rakh do phir bhi haq baat ke kahne se na baz aaunga mere hathon pe bhale daulat-e-duniya rakh do nind si aane lagi zulf ke sae mein mujhe phir mere khwabon pe tapta hua sahra rakh do mere afsane ko phir mod naya sa de do aur unwan sulagta hua lamha rakh do jo samajhte hi nahin meri zaban ko 'ishrat' un ke afkar mein mera lab-o-lahja rakh do