milte hain shahr-e-yar mein manzar gulab ke

milte hain shahr-e-yar mein manzar gulab ke
sab saeban gulab ke sab dar gulab ke

jab aaftab khun mein nahaya zawal par
baadal lahu-lahu the ki lashkar gulab ke

saya kisi ka sehn-e-chaman par bikhar gaya
aur ban rahe hain bagh mein paikar gulab ke

koi to rang-e-atish-e-lab ko badal gaya
pahle the un ke hont barabar gulab ke

yaqut tha sharar the lahu tha ki aab-e-surkh
aankhen thin un ki ya ki the saghar gulab ke

bhanwaron se puchhe koi bhala ras ko chhod kar
kya dhundte hain jaane wo andar gulab ke

bulbul se koi kah de chaman mein ki in dinon
'amrit' bhi ho gae hain sukhanwar gulab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close