socha hai ki ab kar-e-masiha na karenge wo khun bhi thukega to parwa na karenge is bar wo talkhi hai ki ruthe bhi nahin hum ab ke wo ladai hai ki jhagda na karenge yan us ke saliqe ke hain aasar to kya hum is par bhi ye kamra tah-o-baala na karenge ab naghma-taraazan-e-bar-afrokhta ai shahr wasokht kahenge ghazal insha na karenge aisa hai ki sine mein sulagti hain kharashen ab sans bhi hum lenge to achchha na karenge