minnaton se bhi na wo hur-shamail aaya kis jagah aankh ladi hae kahan dil aaya hum na kahte the na kar ishq pashiman hoga jo kiya tu ne wo aage tere ai dil aaya qahqahe qulqul-e-mina ne lagae kya kya mujh ko masti mein jo rona sar-e-mahfil aaya qatl ki sun ke khabar id manai main ne aaj jis se mujhe milna tha gale mil aaya ta dam-e-marg na ho wo mere dushman ko nasib jo maza mujh ko ilahi dam-e-bismil aaya marqad-e-qais par ab tak bhi to khar-e-sahra ungliyon se ye batate hain wo mahmil aaya ganj-e-qarun ke siwa bhi hai adam mein sab kuchh hae duniya mein na is mulk ka hasil aaya jis ne kuchh hosh sambhaala wo jawan qatl hua ahd-e-piri na tere ahd mein qatil aaya din o duniya se gaya to ye samajh le ai 'dagh' ghazab aaya agar us but pe tera dil aaya