'mir' dariya hai sune sher zabani us ki allah allah re tabiat ki rawani us ki khatir-e-baadiya se dair mein jawegi kahin khak manind bagule ke udani us ki ek hai ahd mein apne wo paraganda-mizaj apni aankhon mein na aaya koi sani us ki meinh to bauchhaar ka dekha hai baraste tum ne isi andaz se thi ashk-fishani us ki baat ki tarz ko dekho to koi jadu tha par mili khak mein kya sehr-bayani us ki kar ke tawiz rakhen us ko bahut bhati hai wo nazar panw pe wo baat diwani us ki us ka wo ijz tumhaara ye ghurur-e-khubi minnaten un ne bahut kin pa na mani us ki kuchh likha hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahaar ruqa waren hain ye auraq-e-khizani us ki sarguzisht apni kis andoh se shab kahta tha so gae tum na suni aah kahani us ki marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko shahr-e-dilli mein hai sab pas nishani us ki miyan se nikli hi padti thi tumhaari talwar kya ewaz chah ka tha khasmi-e-jaani us ki aable ki si tarah thes lagi phut bahe dardmandi mein gai sari jawani us ki ab gae us ke juz afsos nahin kuchh hasil haif sad haif ki kuchh qadr na jaani us ki