tujh se gar wo dila nahin milta zahr bhi tujh ko kya nahin milta jis ko wo zulf mar dale hai sar-e-mu khun-baha nahin milta aur sab kuchh mile hai duniya mein lekin ek aashna nahin milta dil-e-diwana raat se gum hai kahin us ka pata nahin milta shaikh kalabe se uth nikal bahar ghar mein baithe khuda nahin milta dard-o-gham ko bhi hai nasiba shart ye bhi qismat siwa nahin milta ek ne puchha ye 'mushafi' se bhala kyun tu ai bewafa nahin milta hans ke bola ki o miyan us se kya karun dil mera nahin milta