sahib-e-jam-o-subu ahl-e-karam aate hain hum se diwane magar dahr mein kam aate hain kya sabab hai ki teri bazm mein ai jaan-e-hayat jab bhi aate hain mere hisse mein gham aate hain ab na zakhmon ki zarurat hai na marham ki talash ye marahil bhi rah-e-ishq mein kam aate hain jab bhi main shiddat-e-tanhai se ghabraya hun ek aawaz si aai hai ki hum aate hain un se kis tarah mulaqat karen hum aakhir wo kahan hote hain jab hosh mein hum aate hain ye mere azm-e-musalsal ki kashish hai 'akhtar' meri jaanib meri manzil ke qadam aate hain