misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun tumhaare sath giraftar-e-haal apna hun sarishk-e-surkh ko jata hun jo piye har-dam lahu ka pyasa alal-ittisal apna hun agarche nashsha hun sab mein khum-e-jahan mein lek ba-rang-e-mai araq-e-infial apna hun meri numud ne mujh ko kiya barabar khak main naqsh-e-pa ki tarah paemal apna hun hui hai zindagi dushwar mushkil aasan kar phirun chalun to hun par main wabaal apna hun tera hai wahm ki ye na-tawan hai jame mein wagarna main nahin ab ek khayal apna hun bala hui hai meri go ka tab-e-raushan 'mir' hun aaftab wa-lekin zawal apna hun