tukda jahan gira jigar-e-chaak-chaak ka yaqut sa damakne laga rang khak ka le jate hain utha ke malak us ki nash ko ye martaba hai tegh-e-nigah ke halak ka ai baghban na mujh se ho aazurda main chala ek dam khush aa gaya tha mujhe saya tak ka milne mein kitne garm hain ye hae dekhiyo kushta hun main to shola-rukhon ke tapak ka ai shola apni garm-rawi par na bhuliyo aalam hai aur aah-e-dil-e-soz-nak ka aata hai apne kushte ki turbat pe jab wo shokh ek nara wan se nikle hai ruhi-fidak ka shukr-e-khuda ki nam hai ismat ka 'mushafi' roz-e-jaza gawah mere ishq-e-pak ka