misl-e-bahisht-e-khush-numa kaun-o-makan mein insan mubtala hai ajib imtihan mein bujhti nahin hai koshish-e-dariya ke bawajud ye kaisi tishnagi hai mere jism o jaan mein wo dhup mein khada hai bade itminan se lau de raha hai mera badan saeban mein kyun nam intisab mein likhkha gaya mera kirdar jab nahin tha mera dastan mein is bar pastiyan bhi mayassar na aaengi shal ho gae jo baal-o-par unchi udan mein wabasta tujh se azmat-e-sher-o-sukhan hui is baat ko bhi rakhna 'khayal' apne dhyan mein