mison ke samne kya mazhabi bahana chale chalenge hum bhi usi rukh jidhar zamana chale khuda ke waste saqi yahi nigah-e-karam chala hai daur to phir kyon ruke chala na chale khila hai bagh-e-qana’at mein ghuncha-e-khatir khuda bachae kahin hirs ki hawa na chale farogh 'ishq ka be-ah ke nahin mumkin na phaile bu-e-gulistan agar hawa na chale khule kiwad jo kamre ke phir kisi ko kya ye hukm bhi to hua hai ki rasta na chale umid-e-hur mein muslim to ho gaya hun magar khuda hi hai ki jo mujh se ye panjgana chale khudi ki his se bhi hota hai intishaar 'akbar' kahan rahun ki mujhe bhi mera pata na chale