misl-e-sahra hai rifaqat ka chaman bhi ab ke jal bujha apne hi shoalon mein badan bhi ab ke khar-o-khas hun to sharar-kheziyan dekhun phir se aankh le aai hai ek aisi kiran bhi ab ke hum to wo phul jo shakhon pe ye sochen pahron kyun saba bhul gai apna chalan bhi ab ke manzilon tak nazar aata hai shikaston ka ghubar sath deti nahin aise mein thakan bhi ab ke munsalik ek hi rishte mein na ho jae kahin tere mathe tere bistar ki shikan bhi ab ke be-gunahi ke libaade ko utaro bhi 'nasir' ras aa jae agar jurm-e-sukhan bhi ab ke