muntashir zarron ko yakjai ka josh aaya to kya chaar din ke waste mitti ko hosh aaya to kya aarzi hain mausam-e-gul ki ye sari mastiyan lala gulshan mein agar saghar-ba-dosh aaya to kya daur-e-akhir bazm-e-duniya ka hai jam-e-khun-e-dil taish is mahfil mein ban kar baada-nosh aaya to kya hadd-e-hairat hi mein rakkha zo'f ne idrak ko paikar-e-khaki ko is 'alam mein hosh aaya to kya