zahr mein bujhe sare tir hain kamanon par maut aan baithi hai ja-ba-ja machanon par hum burai karte hain dubte hue din ki tohmaten lagate hain ja chuke zamanon par is hasin manzar se dukh kai ubharne hain dhup jab utarni hai barf ke makanon par shauq khud-numai ka intiha ko pahuncha hai shohraton ki khatir hum saj gae dukanon par kis tarah hari hongi e'timad ki belen jab munafiqat sab ne odh li zabanon par