muskuraate the jo mera chaak-daman dekh kar aaj sharminda hain wo apna gareban dekh kar aarzu-e-did dil ki dil mein aakhir rah gai mahw-e-hairat ho gaya taswir-e-jaanan dekh kar kis qadar badli hai duniya ne mohabbat ki rawish pher leta hai nazar insan ko insan dekh kar aae the taskin dene wo dil-e-betab ko khud pareshan ho gae mujh ko pareshan dekh kar chumti hain manzilen khud ahl-e-himmat ke qadam hausla mat haar jaana zor-e-tufan dekh kar wa-e-qismat wo to mera hi jala tha aashiyan khush hua tha main gulistan mein charaghan dekh kar 'nur' andaza bahaaron ka laga lete hain sab mera daman dekh kar mera gireban dekh kar