na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka ki main hun bulbule ki shakl mein ehsas pani ka mohabbat mein teri apni zaban ko si liya main ne asar zail na ho jae teri jadu-bayani ka ajab kya hai jo meri dastan-e-khun-chakan se bhi koi pahlu nikal aae kisi ki shadmani ka main apne panw ki zanjir ek din khud hi katunga hadaf banna nahin mujh ko kisi ki mehrbani ka tumhaare samne aaun tumhein apni safai dun sabab malum ho tab na tumhaari bad-gumani ka mera sina hazaron chikhti ruhon ka maskan hai wasila hun main gungi hasraton ki tarjumani ka hamara ahd bhi likkhe alif-laila ke jaisa kuchh badalna chahiye ab rang kuchh qissa-kahani ka nahin tere liye ye do minute ki chup nahin kafi tera gham mustahiq hai umr bhi ki nauha-khwani ka meri taid mein bhi ab kisi ka hont to kanpe koi to dard bante aae meri be-zabani ka