mitti hui tahzib se nafrat na kiya kar chaupal pe budhon ki kahani bhi suna kar malum hua hai ye parindon ki zabani tham jaega tufan darakhton ko gira kar pital ke katore bhi nahin apne gharon mein khairaat mein chandi ka taqaza na kiya kar mumkin hai garebanon mein khanjar bhi chhupe hon tu shahr-e-aman mein bhi na be-khauf phira kar mange hue suraj se to behtar hai andhera tu mere liye apne khuda se na dua kar tahrir ka ye aakhiri rishta bhi gaya tut tanha hun main kitna tere maktub jala kar aati hain agar raat ko rone ki sadaen ham-sae ka ahwal kabhi puchh liya kar wo qaht-e-ziya hai ki mere shahar ke kuchh log jugnu ko liye phirte hain mutthi mein daba kar