pichhle zakhmon ka izala na hi wahshat karega tujh se waqif hun meri jaan tu mohabbat karega main chala jaunga duniya se sikandar ki tarah agli sadiyon pe tera nam hukumat karega pesh hai dusre aalam mein bhi tanha rahna main ne socha tha tu duniya se baghawat karega dil teri rah-e-aziyyat se palatne ko hai kya tu ab bhi na mera khwab haqiqat karega tu meri maut ki tasdiq nahin kar sakta chhuega to mujhe aur dil mera harakat karega wahima sahra-nawardi ka mudallal nahin hai koi hoga mere dil mein tabhi hijrat karega wo jo 'afaq' charaghon ki lawen todta hai apna suraj bhi usi hath pe baiat karega