ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyan charagh le ke nikalna bada hunar hai miyan pata chale jo mohabbat ka dard le ke chalo mere makan ki gali kitni mukhtasar hai miyan nahaengi meri zau mein hazar-ha sadiyan main wo charagh nahin hun jo raat bhar hai miyan tumhaari raat pe itna hi tabsira hai bahut makin andhere mein hain chandni mein ghar hai miyan likha hai waqt ne sadiyon safar ke baad use ye daur jhut sahi phir bhi mo'atabar hai miyan milegi rakh na tum ko hamare chehre par badan mein rah ke sulagna bada hunar hai miyan ab intizar ki taqat nahin rahi 'qaisar' kuchh aur roz na socha to sab khandar hai miyan