zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai dil pareshan ruh tarsan chashm-e-giryan ab bhi hai kab sambhaale se sambhalta hai dil-e-pur-iztirab aah-e-sozan lab par ab bhi sina baryan ab bhi hai sai koshish ke liye maidan hai ab bhi farakh azm-e-rasikh ki zarurat hum ko han han ab bhi hai tukhm mein roidagi har nakhl mein baalidgi mausam-e-sarma-o-garma baad-o-baran ab bhi hai khalq mein maujud hain ab bhi wahi lal-o-gohar tishna-kaami-e-sadaf ko abr-e-naisan ab bhi hai sham bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi mah-e-taban ab bhi hai mahr-e-darakhshan ab bhi hai aashiq o mashuq bhi hain wasl o hijr o rashk bhi mahr ulfat tegh o khanjar tir paikan ab bhi hai hai wahi diwangi ab bhi wahi shoridgi jaib o daman hadiya-e-khar-e-bayaban ab bhi hai shauq o zauq ab bhi hai baqi murda-dil hum hain to hain apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistan ab bhi hai ishq ki surat jo badle to ho aashiq bhi kuchh aur ye jafa-o-jaur ka har waqt khwahan ab bhi hai aa gai piri magar ab tak hai tu mahw-e-khayal ham-sabaq tiflon ka tu tifl-e-dabistan ab bhi hai garmi-e-mahfil wahi hai jama hain ahbab bhi hasti-e-parwana o sham-e-shabistan ab bhi hai ghair-mumkin hai badal jae kabhi qanun-e-haq hukm-e-yazdan ab bhi hai ijra-e-farman ab bhi hai kyun musalmanon ne badla haal apni qaum ka tha jo quran bas wahi maujud quran ab bhi hai qashqa baala-e-jabin zunnar hai baala-e-dosh ye bata iman se kya tu musalman ab bhi hai ittiqa o zohd se dil-bastagi baqi nahin dawa-e-islam jaisa pahle tha han ab bhi hai kho diye ayyam-e-piri ne tere hosh-o-hawas ai bashir-e-be-nawa kuchh dil mein arman ab bhi hai