miyan-e-kar-e-duniya hum se dil nashad kya karte hamein wo yaad kab aaya use hum yaad kya karte agar pahchan apni ek dil-e-viran hai to phir wo hum ko shad kya aur hum use aabaad kya karte hamein jaldi bahut thi ishq mein barbaad hone ki so pesh-o-pas mein pad ke waqt ko barbaad kya karte bhala ye aah-o-zari shoabada-bazon ke bas ki hai fughan eajaz hoti hai fughan ijad kya karte agar hum sarf ho jate kahin fariyaad ki lai mein to bas lai-kar ho sakte the hum fariyaad kya karte