ye jism zar hai yun pairahan ke parde mein ki jaise ruh nihan hai badan ke parde mein siwae ahl-e-sukhan ho mushahida kis ko nihan hai shahid-e-mani sukhan ke parde mein talash jis ki hai din-raat tujh ko ai ghafil chhupa hua hai wo tere hi tan ke parde mein jo andalib ki aankhon se dekhe wo samjhe zuhur hai usi gul ka chaman ke parde mein shab-e-siyah judai mein raushni ho kahin lagaun aag main bait-ul-huzan ke parde mein tariq-e-ishq chhudaya hai tu ne ghaarat-gar mila hai khizr mujhe rahzan ke parde mein latafat aisi hai tujh mein ki dekhta hun saf guhar se dant hain durj-e-dahan ke parde mein ba-rang-e-zar koi kapdon mein aag rahti hai na mere dagh chhupenge kafan ke parde mein naqab se tere abru jo salkh ko khul jaen tu mah-e-nur hai charkh-e-kuhan ke parde mein agar tum aae the shirin ke bhes mein sahab to sath banda bhi tha kohkan ke parde mein numud ho na tere khatt-e-ambar-e-afshan ki rahe wo jild ezar-o-zaqan ke parde mein chaman mein lai saba kis ki bu jo aaj shamim damak rahi hai gul-e-yasman ke parde mein nazar se tha sharar-e-sang ki tarah jo nihan wo but mila mujhe ek but-shikan ke parde mein tumhaare ru-e-mukhattat ka munh chidhate hain ye mehr-o-mah pari-ru gahan ke parde mein hazaron pad gae tir-e-nigah se surakh hamare is but-e-nawak-fagan ke parde mein khabar na sham-e-gharibi ki mujh ko thi 'nasikh' chhupi hui thi ye subh-e-watan ke parde mein