phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-khwab saja hua hai mere zakhm se madina-e-khwab khizan ki fasl mein jo rizq-e-wahshat-e-shab tha luta raha hun sar-e-shab wahi khazina-e-khwab musafiran-e-shab-e-gham tumhaari khair to hai tadakh ke tut gaya kyun mera nagina-e-khwab haqiqaton ke bhanwar se koi nikale phir rawan kare meri jaanib koi safina-e-khwab bana diya teri sohbat ne be-adab in ko koi sikhae in aankhon ko ab qarina-e-khwab koi to ho ki jo mujh ko fareb-e-paiham de wo koi husn-e-haqiqat ho ya hasina-e-khwab ye aankh hai hama-dam gardish-e-tajassus mein talash karti hai mujh mein koi dafina-e-khwab fishaar-e-nim-shabi se ab in dinon 'shahid' hai chaak chaak meri jaan qaba-e-sina-e-khwab