wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha mujhe khud apne badan mein kisi ka dar kya tha koi tamiz na ki khun ki shararat ne ek abr o baad ka tufan tha dasht o dar kya tha zamin pe kuchh to mila chand uljhanen hi sahi koi na jaan saka aasman par kya tha mere zawal ka har rang tujh mein shamil hai tu aaj tak meri haalat se be-khabar kya tha ab aisi fasl mein shakh o samar pe bar na ban ye bhul ja ki pas-e-saya-e-shajar kya tha chatakhti girti hui chhat ujad darwaze ek aise ghar ke siwa hasil-e-safar kya tha