mujhe rang-e-khwab se zindagi ka yaqin mila kabhi dil dukha to kuchh aur bhi wo qarin mila koi qissa hijr-o-visal ka na suna mujhe jo harim-e-dard tak aa gaya so wahin mila sar-e-khwab hi kabhi tum bhi to mujhe dekhte wo tilism tha ki falak bhi zer-e-nagin mila isi aaine se milengi meri gawahiyan tumhein aks mera jis aaine mein nahin mila kahin naqsh-e-pa koi mauj-e-rang nahin thi main main wo soch hun jise e'tibar-e-jabin mila meri zindagi kadi dhup mein to kati magar meri chhanw sa koi saeban bhi kahin mila hua yun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya koi din the jab mujhe har nazara hasin mila