raushan hon dil ke dagh to lab par fughan kahan

raushan hon dil ke dagh to lab par fughan kahan
ai ham-safir aatish-e-gul mein dhuan kahan

hai nam aashiyan ka magar aashiyan kahan
nikhre hue hain khak mein tinke kahan kahan

uth uth ke puchhta hi raha rah ka ghubar
kahta magar ye kaun luta karwan kahan

baqi nahin hain jaib-o-gareban ke tar bhi
likkhenge ai bahaar teri dastan kahan

hum ajnabi hain aaj bhi apne dayar mein
har shakhs puchhta hai yahi tum yahan kahan

dekho ki ab hai barq-e-sitam ki nazar kidhar
puchho na ye chaman mein jale aashiyan kahan

aalam guzar raha hai ajab ahl-e-dard par
ho dil mein muddaa bhi to munh mein zaban kahan

apni khushi wajud-e-gulistan pe ai 'nasim'
mana ki wo sukun-e-nasheman yahan kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close