moh mein sajde mein par naqsh mera bar raha us aastan pe meri khak se ghubar raha junun mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif khabar li jab ki na jame mein ek tar raha bashar hai wo pe khula jab se us ka dam-e-zulf sar-e-rah us ke farishte hi ka shikar raha kabhu na aankhon mein aaya wo shokh khwab ki tarah tamam-umr hamein us ka intizar raha sharab-e-aish mayassar hui jise ek shab phir us ko roz-e-qayamat talak khumar raha butan ke ishq ne be-ikhtiyar kar dala wo dil ki jis ka khudai mein ikhtiyar raha wo dil ki sham-o-sahar jaise pakka phoda tha wo dil ki jis se hamesha jigar-figar raha tamam-umr gai us pe hath rakhte hamein wo dardnak alarraghm be-qarar raha sitam mein gham mein sar-anjam us ka kya kahiye hazaron hasraten thin tis pe ji ko mar raha baha to khun ho aankhon ki rah bah nikla raha jo sina-e-sozan mein daghdar raha so us ko hum se faramosh-kariyon le gae ki us se qatra-e-khun bhi na yaadgar raha gali mein us ki gaya so gaya na bola phir main 'mir' 'mir' kar us ko bahut pukar raha