tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya

tum bankpan ye apna dikhate ho hum ko kya
qabze pe hath rakh ke daraate ho hum ko kya

aankhen tumhaari jhapkin hain idhar ko beshtar
tum in ishaaraton se bulate ho hum ko kya

aawen hamari gor mein gar munkar-o-nakir
itna kahen: abhi se uthate ho hum ko kya

la kar kabhi diya hai koi phul phal hamein
tum sair-e-gulistan ko jo jate ho hum ko kya

kahte ho ek-adh ki hai mere hathon maut
hum bhi samajhte hain ye sunate ho hum ko kya

hum se to ab talak wahi sharm-o-hijab hai
gar har kisi ke samne aate ho hum ko kya

kahte ho roz hum se yahi kal ko aaiyo
kya khu nikali hai ye satate ho hum ko kya

dena hai koi bosa to de daliye miyan
kyun panw todte ho phiraate ho hum ko kya

le le ke nam us ki jafaon ka 'mushafi'
hum aap jal rahe hain jalate ho hum ko kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close