mohabbat aur khushbu ka nagar taqsim ho jae kahin aisa na ho ghar ka shajar taqsim ho jae lahu roti hui aankhen lahu roti hi rahti hain hawas ke hath jab purkhon ka ghar taqsim ho jae kabhi bhi aag ki faslen yahan par ug nahin saktin mohabbat sare aalam mein agar taqsim ho jae udasi ke ghane jangal mein raste ja nikalte hain fazaon mein naya jab ek dar taqsim ho jae kabhi jo yaad karti hun teri qurbat ke lamhon ko meri sanson talak us ka asar taqsim ho jae meri man ki duaon ka 'samina' moajiza dekho mere pairon mein aate hi bhanwar taqsim ho jae