shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai zindagi bahta hua dhaara bhi hai sahil bhi hai qais ki nazron se koi dekhne wala to ho najd mein laila bhi hai jalwe bhi hain mahmil bhi hai qissa-e-dar-o-rasan ya qissa-e-gesu-o-qad kuchh to chhedo waqt bhi hai rang par mahfil bhi hai kya kare pamal-e-gham ek yaad-e-mazi hi nahin haal ki bhi talkhiyan hain fikr-e-mustaqbil bhi hai hai idhar tufan daman-gir 'rahi' kya karun muntazir mera udhar koi lab-e-sahil bhi hai