nazar mein khizr koi hai na ibn-e-mariyam hai ajab bala mein giraftar ibn-e-adam hai ulajh ulajh ke lipatta gaya yahan insan bisat-e-dahr nahin dam-e-zulf pur-kham hai hamara aap ka jina bhi hai koi jina jo dil hai chaak hai jo aankh hai wo pur-nam hai mizaj dair-o-haram kal bataunga tum ko misal-e-gesu-e-pur-pech aaj barham hai na dil-dahi hai na hai dil-bari kahin 'mahir' zamana de mujhe aazar jo bhi wo kam hai