mohabbat ka jab roz bazar hoga bikenge sar aur kam kharidar hoga tasalli hua sabr se kuchh main tujh bin kabhi ye qayamat trahdar hoga saba mu-e-zulf us ka tute to dar hai ki ek waqt mein ye siyah-mar hoga mera dant hai tere honton pe mat puchh kahunga to ladne ko tayyar hoga na khali rahegi meri jagah gar main na hunga to andoh bisyar hoga ye mansur ka khun-e-nahaq ki haq tha qayamat ko kis kis se khun-dar hoga ajab shaikh-ji ki hai shakl-o-shamail milega to surat se bezar hoga na ro ishq mein dasht-gardi ko majnun abhi kya hua hai bahut khwar hoga khinche ahd-e-khat mein bhi dil teri jaanib kabhu to qayamat trahdar hoga zamin-gir ho ijz se tu ki ek din ye diwar ka saya diwar hoga na mar kar bhi chhutega itna rukega tere dam mein jo giraftar hoga na puchh apni majlis mein hai 'mir' bhi yan jo hoga to jaise gunahgar hoga