tum bhi aaoge mere ghar jo sanam kya hoga mujh par ek raat karoge jo karam kya hoga ek aalam ne kiya hai safar-e-mulk-e-adam hum bhi jawenge agar su-e-adam kya hoga dam-e-rukhsat hai mera aaj meri baalin par tum agar waqfa karoge koi dam kya hoga dekh us chaak-e-gareban ko to ye kahti hai subh jis ka sina hai ye kuchh us ka shikam kya hoga chain ho jaega dil ko mere az-rah-e-karam meri aankhon pe rakhoge jo qadam kya hoga sohbat-e-ghair ka inkar to karte ho wale khaoge tum jo mere sar ki qasam kya hoga shana ek umr se karta hai do-waqti khidmat tujh ko malum hai ai dida-e-nam kya hoga 'mushafi' wasl mein us ke jo mua jata ho us pe ayyam-e-judai mein sitam kya hoga