mohabbat ka nanha sa ghar tauba tauba sitam-ha-e-barq-e-nazar tauba tauba ye dil jal mein zulf-e-pechan ke phans kar bhatakta raha umr bhar tauba tauba laten kali kali jabin ujli ujli ba-yak-waqt sham-o-sahar tauba tauba agar dekh len tuk wo tirchhi nazar se do-alam hon zer-o-zabar tauba tauba koi dekhe in musht bhar haddiyon ko koi dekhe qahr-e-nazar tauba tauba ye duniya hai aur hai yahi aaqibat bhi shab-e-'soz' rangin sahar tauba tauba