raegan jati hai kya jaan kisi diwane ki shama bhi jalti rahi yaad mein parwane ki chashm-e-kohsar ne ro ro ke bahae dariya kitni pur-dard hansi thi tere diwane ki mujh ko har samt se qulqul ki sada aati hai samt-e-masjid ho ya girje ki ho but-khane ki har qadam hosh-ruba aur nazar hosh shikan wusaten badh gain kitni tere maikhane ki 'soz' buniyaad mein chun chun ke hua hai tamir dushmani barq ko aasan nahin kashane ki