ye jo rangin tabassum ki ada hai mujh mein mujh ko lagta hai koi mere siwa hai mujh mein khud bhi hairan hun azal se ki ye kya hai mujh mein kaun shah-rag se meri bol raha hai mujh mein umar bhar jis ko tere gham ki amanat samjha ab wahi tar-e-nafas tut gaya hai mujh mein ek khushbu si ubharti hai nafas se mere ho na ho aaj koi aan basa hai mujh mein mere qadmon pe zamane ki jabin jhuk jae dewtaon ki tarah ek ana hai mujh mein tum to kun kah ke nigahon se chhupe ho lekin har ghadi ek naya hashr bapa hai mujh mein kaun tha jo mere ehsas ko raushan karta umr bhar sirf mera dil hi jala hai mujh mein dil kabhi zulmat-e-farda se hirasan na hua ek khurshid naya roz uga hai mujh mein talkh-kaami se to kuchh aur nikharti hai 'hayat' kis liye zahr koi ghol raha hai mujh mein