musafir hun magar kya zindagi par hukmrani hai thahar jaun to baqi hai guzar jaun to fani hai mohabbat meri rag rag mein sharab-e-arghawani hai kahan ka nashsha-e-mai mera nashsha jawedani hai jawani aai jaan aai gham aaya maut aai hai abhi kya jaiye kis kis se taqat aazmai hai ghalat padti hain dard-o-gham ki bhatkai hui nazren barah-e-rast jab dekhe koi duniya suhani hai main pachhtata hun kya kya apna gham kah kar zamana se sunata hun jise kahta hai meri hi kahani hai guman-e-bad ghalat rah-e-talab ke zarra zarra par qadam kyunkar uthen apne hi dil se bad-gumani hai mohabbat mein na jine ka irada hai na marne ka ajal par faisla thahra to ab jine ki thani hai mizaj-e-dard se bigda hua andaz-e-pursish hai kahin aisa na ho kah dun tumhaari mehrbani hai