mujh ko na aazma sitam-e-rozgar se main tujh se dur hun na tere ikhtiyar se badlenge ahl-e-dil na kisi e'tibar se sarkar dushmani se nawazen ki pyar se ye kya ki sirf rang gulistan badal diya hum ne kuchh aur bhi to kaha tha bahaar se yarab ye kis nahaj pe hain dil ke muamalat hum ghair-mutmain se na wo be-qarar se aakhir khud apne samne aana pada hamein ukta chuke the silsila-e-intizar se barse hain kis ke khun ke baadal chaman chaman lai kahan se rang ye puchho bahaar se hum ro liye ki sabz-o-gul mein tari rahe hanste agar to aag barasti bahaar se be-shak hai na-khuda ki mohabbat bhi un ke sath 'anjum' khuda ka nam jo lete hain pyar se