mohabbat karne walon ka yahi nam-o-nishan hoga jahan wo sar-nigun honge wahin pe aastan hoga mohabbat mein agar zahir mera raaz-e-nihan hoga mere pichhe yaqinan un ka koi raazdan hoga zamin bhi badli hogi aur badla aasman hoga na gard-e-karwan hogi na shor-karwan hoga har ek mahshar mein hoga apne hi aamal ka hamil zamin walon ki nazron mein ajab ye ek saman hoga mohabbat mein hamesha raaz tasht-az-baam hi hoga kabhi jasus yan hoga kabhi jasus wan hoga agar guzregi meri zindagi shahr-e-madina mein ibaadat ke liye ai 'shad' un ka aastan hoga