nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi khabar bhi hai dil-e-nadan kahan tak baat ja pahunchi sitam hai dil-lagi hai imtihan tak baat ja pahunchi kahan se baat nikli thi kahan tak baat ja pahunchi nikal aae sitare meri uljhan ke tamashe ko zamin walon ki kyunkar aasman tak baat ja pahunchi zamane bhar mein jo charcha hai mere khun-e-nahaq ka wahan tak hashr barpa hai jahan tak baat ja pahunchi unhen ai ‘shad’ ruswai ka apni kya khayal aaya nikal kar gunge dil se jab zaban tak baat ja pahunchi