naghma yun saz mein tadpa meri jaan ho jaise mera dam ho mere sine ki fughan ho jaise yak-ba-yak ruh mein uttha hai wo tufan-e-khamosh wadi-e-gul mein nasim-e-guzaran ho jaise naghma-o-raqs hui jati hai har mauj-e-khayal chandni-raat mein dariya ka saman ho jaise kya sunati hai ye sazon ki sada-e-dil-soz kuchh hamin dard-nasibon ka bayan ho jaise yun teri chashm-e-mudaraat pe dil bhola hai nashsha-e-mai pe jawani ka guman ho jaise dil hai yun be-dili-e-hosh ke hathon larzan koi qatil se talab-gar-e-aman ho jaise rah jine ki kahan sokhta-jaani ke baghair har nafas shoala-e-khatir ka dhuan ho jaise khub naqsha hai mere fikr ki jaulani ka koi kam-bakht asiri mein jawan ho jaise us ne yun arz-e-mohabbat pe sambhal kar dekha us ke dil ko to khabar ho na guman ho jaise ek nawa hasil-e-sad-ahd-e-fughan hai 'haqqi' bu-e-gul lakh bahaaron ka nishan ho jaise