mohabbat mein dil-sakhtiyan aur bhi hain uthane ko sang-e-giran aur bhi hain dhuan meri aahon ka chhaya hua hai tah-e-asman aasman aur bhi hain satana jalana hi aata hai tum ko siwa is ke kuchh khubiyan aur bhi hain mere dil ko le kar na pamal kijiye ki is jins ke qadr-dan aur bhi hain abhi to faqat hijr mein dil mita hai magar khana-viraniyan aur bhi hain tera jin pe lutf-o-karam hai ziyaada wo sargarm-e-ah-o-fughan aur bhi hain 'rashid' ek jadu raqam hain to kya hai talamiz-e-'mahmud' khan aur bhi hain