hazar shama farozan ho raushni ke liye nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye talluqat ki duniya bhi aadmi ke liye ek ajnabi sa tasawwur hai ajnabi ke liye chaman chaman hai mohabbat jahan jahan se jamal ye ehtimam hai ek dil ki zindagi ke liye shab-e-nashat mubarak tujhe ye mah-o-nujum sahar bahut hai meri kam-sitargi ke liye nigah-e-dost salamat ki faiz-e-girya se bahut guhar hain mere daman-e-tahi ke liye nigah-e-mast ki sahba tapak rahi hai 'nushur' ghazal kahi hai tabiat ki sarkhushi ke liye