wafa-shiar nazaron ki baat karte hain

wafa-shiar nazaron ki baat karte hain
khizan mein rah ke bahaaron ki baat karte hain

na aasron na sahaaron ki baat karte hain
naqib-e-waqt waqaron ki baat karte hain

nizam-e-arsh pe jin ko yaqin nahin wo bhi
zamin ye chand sitaron ki baat karte hain

ye tund-o-tez hawaen ye zor tufan ka
bhanwar ke bich kinaron ki baat karte hain

jinhon ne dekha jalal-o-jamal ka manzar
wo dil-nawaz nazaron ki baat karte hain

sukun jin ko mayassar nahin zamane mein
wo be-qarar qararon ki baat karte hain

hawas-parast zamane mein aap ai 'khalid'
khuda ke shukr-guzaron ki baat karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close