pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi main ne jari ki ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat tari ki main ab shahr-e-ishq mein kuchh qanun banane wala hun ab us us ki khair nahin hai jis jis ne ghaddari ki pahle thodi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai par jab asli chehra dekha main ne to phir sari ki jo bhi mud kar dekhega wo patthar ka ho jaega dekho dekho shahar mein aae sannata aur tariki ek janm mein main us ka tha ek janm mein wo mera hum ne ki har bar mohabbat lekin bari bari ki hum sa ho to samne aae aadil aur insaf-pasand dushman ko bhi khun rulaya yaron se bhi yari ki aisa pyar tha hum donon mein ki barson la-ilm rahe us ne bhi kirdar nibhaya main ne bhi fankari ki baat to itni si hai wapas jaane ko main aaya tha sans uthai umr sameti chalne ki tayyari ki