nazar khamosh hui arz-e-na-tamam ke baad kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalam ke baad ye mughbache tere saqi abhi hain khira bahut har ek jam-e-tahi aur sala-e-am ke baad bas itni baat ke kya kya hain bazm mein charche wo muskura se diye the mere salam ke baad namaz-e-jam padhi shaikh ne nahin lekin ajab sa nur hai rukh par tulu-e-sham ke baad har ek nazaa ka hal intiqam hi hai abhi magar sawal to ye hai ki intiqam ke baad ye lag raha hai ki jaise bichhad rahi hai hayat palat palat ke nigahen hain gam gam ke baad kisi mahal kisi wadi kisi chaman mein nahin wo gul jo dil mein mahakta hai nek kaam ke baad ghurur-e-tishna-saqi bhi hai koi shai saqi taqaza hum nahin karne ke jam jam ke baad ye sach nahin ki mere dil mein aur nam nahin magar ye sach hai ki ye sab hain tere nam ke baad hai zist zist usi ki ki jis ke bazu ko uruh-e-subh bhi dhunde nigar-e-sham ke baad badalti qadron mein kuchh hun ki kuchh nahin 'mulla' sawaliya sa nishan hun khud apne nam ke baad