mohabbat tum se hai lekin juda hain hasin ho tum to hum bhi parsa hain hamein kya is se wo kaun aur kya hain ye kya kam hai hasin hain dilruba hain zamane mein kise fursat jo dekhe sukhnawar kaun shai hain aur kya hain mitate rahte hain hum apni hasti ki aagah-e-mizaj-e-dilruba hain na jaane darmiyan kaun aa gaya hai na wo hum se na hum un se juda hain kabhi ro ro ke sochegi ye duniya abhi hum kya bataen aah kya hain nahin banti hai kuchh bhi kahte sunte ajab kuchh gu-magu mein mubtala hain ye teri be-rukhi ye sargirani jiye jate hain jo hum be-haya hain jigar banta nahin kuchh karte dharte ki bilkul jaise hum be-dast-o-pa hain