mohabbaton ka kharidar dhundne nikla khuda khud aaj gunahgar dhundne nikla kuchh is qadar tha andhera ki subh ka suraj hamare kucha-o-bazar dhundne nikla meri tarah ki farasat hai kis ke pas ki main jo shahr ho gaya mismar dhundne nikla badan ki dhup ne wo haal kar diya hai ki main rida-e-saya-e-ashjar dhundne nikla ajib majlis-e-ahl-e-kamal hai ki yahan har ek apna taraf-dar dhundne nikla nai sadi mein purani sadi ka sailani guzishta ahd ke aasar dhundne nikla lab-e-furaat wo manzar tha didani 'mohsin' jab ek sawar ko rahwar dhundne nikla