mohlat na mili khwab ki tabir uthate hum mare gae tute hue tir uthate mamur thin suraj ki gawahi pe hawaen phir sae kahan dhup ki jagir uthate tujh tak bhi pahunchne ke liye waqt nahin tha kab daulat-e-duniya tere rah-gir uthate bas ek hi khwahish sar-e-maqtal hamein yaad aai zindan se nikalte hue zanjir uthate us waqt bhi hathon ne qalam ko nahin chhoda jab in pe zaruri tha ki shamshir uthate hum log 'salim' asal se kat kar nahin jite kya soch ke aakhir koi taswir uthate