zaban kya hai mohabbat ki guftugu kya hai ba-juz nigah ke paigham-e-arzu kya hai ye jaan-e-husn-e-mohabbat hai aarzu kya hai na ho ye dil mein to main kya hun aur tu kya hai lahu jo garm na kar de wo aarzu kya hai jo aarzu se na garmae wo lahu kya hai khuda kare na kare husn se tajawuz-e-ishq abhi to mujh se wahi kah rahe hain tu kya hai tujhe bhi bhul gae tere dhundne wale ye hosh bhi to nahin hai ki justuju kya hai baja ki khun ki garmi ka nam hai insan na ho jo garm-e-mohabbat se wo lahu kya hai ghalat samajh ke nahin dekhta hun teri taraf ye dekhta hun ki andaz-e-guftugu kya hai jinhen hai tujh se mohabbat wo jaante bhi nahin ki rashk kahte hain kis chiz ko adu kya hai rahe ilahi mere dil ki aabru qaem sadaf mein hai ye guhar dil mein aarzu kya hai hai un ki jumbish-e-abru pe aabru ka madar jo jaante bhi nahin hain ki aabru kya hai siwae zauq-e-nazar aur kuchh nahin 'bismil' ye phul kya hain ye phulon mein rang-o-bu kya hai